Thursday, 14 February 2013

Neend ne aaj humara daman choda hua hai,
sapno ne aaj apna rukh moda hua hai.
Hoton pe sajhi yeh hasi dur jaane lagi,
tanhayion mein yeh zindagi jaise kho jaane lagi.
Heere jawarat se sajhi imarat bhi kaam na aye,
agar nafarat palti ho uske andar,
wahi chotasa mitti ka ghar har aandhi toofan paar kar jaye,
jo pyaar hai wahan par.
Beech raah mein woh tanha hume chod gaye,
sahara dene waale hume besahaara chod gaye,
wajah thi bus yehi,
kisi gaire ke liye apno se woh muh mod gaye.
Khushi hai tu,
manzil bhi tu,
duao mein meri shamil hai tu,
dil hua tera,
main hui teri,
dhunde nazere jise woh saathi hai tu.